motivational quotes हमारे जीवन में एक catalyst उत्प्रेरक का काम करते है, ये motivational thoughts संकट के समय एक पतवार की तरह काम करते हैं.roman hindi me padhne ke liye niche dekhen.
ये hindi suvichar हमें डूबने से बचाने मेँ अति महत्वपूर्ण भूमिका निभाते हैं, हम सबके अंदर एक जोश भर देते हैं जिसकी वजह से एक साधारण व्यक्ति भी असाधारण काम कर गुजरता है.
motivational thoughts in english उस बीज की तरह होते हैं जिनको हमारे मन रूपी जमीन बोने से और उसको नियमित रूप से सींचते रहने से वह एक दिन एक विशाल वृक्ष का रूप धारण करके सारे समाज और देश को अपनी शीतल छाया और फल से लाभान्वित करते हैं.
इसलिए हम आपके लिए कुछ motivational quotes
hindi, motivational thoughts for students लेकर आये है जो हम सभी को हमारे लक्ष्य प्राप्ति के लिए प्रोत्साहित करेंगे.
|
प्रभावशाली बातेँ
Hamaari jindagi mei iss baat se koi farq nahi padta ki hamari soch kya hai aur kaisi hai ya hamen kya karna achcha lagta hai aur kya bura. Farq padta hai to sirf isse ki ham kya karte hain, hamara karna jyadaa mahatvapoorna hai. Aksar ham sonchte hi raha jaate hain, ath jo bhi karna hai turant karen.
|
|
प्रभावशाली बातेँ
Antarman mei umad rahi bhaavnaaon ko shant karne ka sabse achcha tareeka hai ki unhe sabdon ka khubsoorat aakaar dekar kaagaj par uker liya jaaye. |
|
प्रभावशाली बातें
Kisi par apna dabaav daalkar karya to har koi kara sakta hai, taareef to tab hai jab saamne waale vyakti mei swechcha se uss karya ko karne ki dilchaspi paida kar dee jaaye.
|
|
प्रभावशाली बातेँ
Yadi raajmarg jaisa banane mei mushkil ho rahi ho ki jis par tej gati se gadiyan daud saken to kam se kam vo pagdandi banane ki koshish jaroor karni chahiye ki jis par chalkar ek musafir apni manjil par pahunch jaaye. |
|
प्रभावशाली बातेँ
Manushya ki sabhi aakachaon ya ikchaon me jo sabse mahatvpoorna hai vo hai mahatvapoorna banane ya dikhne ki ikchha. Yah lagbhag har manushya ke dil ki gahraie me chipi rahti hai, chahe vo gareeb ho ya ameer. Aur yah shayad hi kabhi santusht ho paati hai.
|
|
प्रभावशाली बातेँ
Kisi group photo me insaan sabse pahle apne aap ko dekhta hai phir dusron ko. Issi baat se pata chalta hai aaj ka insaan kitna swarthi hai. Yah ek manovaigyanik satya hai jise nakara nahi ja sakta.
|
|
प्रभावशाली बातेँ
Kisi ko sudharne ke liye ki gayi ninda ya aalochna se vyakti sudhrata nahi hai balki isse uss vyakti ka manobal prabhavit hota hai aur samne waale vyakti ke man mei aapke prati dwesh ki bhavna utpann ho sakti hai. Ath aalochna sarvtha nindaniya hai.
|